Wednesday, March 31, 2010

Toot Jaye Na..



Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k ghm ko zamane se chupaon kaise,

Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,

Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe,
Lakin,
WO meri aankhen hai,
Mai usko rulaon kaise?

Neend Ka Halka






Nind ka halka gulabi-sa Khumar ankhon main tha
Yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin


Har taraf divar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin


Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
KaTata hun zindagi bhar main ne jo boya nahin


Janata hun ek aise shaKhs ko main bhi
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin !!

Tum Rooth Jao Mujh Se.....




"Tum rooth jao mujh se aisa kabhi na karna..,
Mai ek nazar ko tarson..
Aisa kabhi na karna..
Mai pooch pooch haron so so sawal kar k..
Tum kuch jawab na do..
Aisa kabhi na karna..
Mujh se hi mil k hansna..
Mujh se hi mil k rona..
Mujh se bichar k jee lo..
Aisa kabhi na karna..
Tum chand bun k rehna..
Mai dekhta rahon ga..
Kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna..
Tum chalay jao jab bhi..
To dekhon tumhara rasta..
Tum lot k na ayo..
Aisa kabhi na karna..

Poochtay Hain Log..




meri ghazal ka unwaan poochtay hain loag,
dil main kon rehta hay naam poochtay
hain loag,
chor kar chala gia muj ko akela sheher main,
kitnay main hy bik gia daam poochtay hain loag,
main sangdil tha ya wo
herjai,
ek yahi baat sar-e-aam poochtay hain loag,
kal kia ho ga mujy khud khabar
nahi,

Milay Thay






Milay jo mudat bad to afsurda ho kar kehnay,
Abhi bhi usi haal main jeetay ho.
Sukhay hont jo dekhay to muskara k kaha,
Yaadon k Zehar ko abhi bi shok se pitay ho.

Har Badan Ko




har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo

[sukuut = silence]

Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaane-e-vafaa kah liyaa karo

[talKh = bitter; sangdil = stone-hearted]

gar chaahate ho Khush rahe.n kuchh bandagaan-e-Khaas
jitane sanam hai.n un ko Khudaa kah liyaa karo

insaan kaa agar qad-o-qaamat na ba.Dh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa kah liyaa karo

[qad-o-qaamat = zenith/height; nuqs = fault]

apane liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa kah liyaa karo

[raah-e-nijaat = road to freedom; zulm = oppression]
[razaa-e-Khudaa = will of God]

le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diyaa kah liyaa karo

[nishaan-e-ziyaa = hint/indication of light]

Kisi Ki Yad Dil Mai Hai






Kisi ki yad dil mai hai,
koi ehsas baqi hai,

Badalte mosamo k darmyan ek raz baqi hai,

Abi to mai safar mai hoon,
milen gi manzilen mujh ko,

Magar in raston k beech,
kisi ka sath baqi hai,

Kahin par sham dhalti hai
kahin par rat hoti hai,

Abi to chandni hai
or chand ki rat baqi hai,

Chale ayo kisi din tum,
humara hal bhi dekho,

Humara jism murda hai
magar ek saans baqi hai,

Umeed hai hme phr bhi,
mile ga wo hme ek din,

Khuda par hai bharosa,
Abi KHUDA ki zat baqi hai.....